Sunday, August 12, 2012

Sher

Kabhi Maa Ko Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai,
Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Behel Jata Hai,
Kabhi Muskra De To Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko Nayi,
Kabhi Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai…


Ek Hasti hai jo Jaan hai Meri,
Jo Aan se barh kar Maan hai Meri,
Khuda Hukum dai to kar don sajda usay,
Kyon k woh koi aur nahi Maa hai meri…



Akasr jab hum unko yaad karte hai….
Apne rab se yahi faryaad karte hai…
Umar hamari bhi lag jaye unko..
Kyoki hum unko khud se zyada pyar kaarte hai…


Yaadon Mein Har Pal Rahti Ho Tum,
Kabhi Na Dil Mein Khayaal Ho Tera Kam,
Tamanna Hai Yeh Dilki Mere,
Ki Tujhe Kabhi Chaahun Na Kam,
Bayaan Karun Jau Hai Dil Mein Mere,
Kahe Na Chaahen Hum,
Kahe Na Chaaho Tum,
Par Bayaan Karen Tau Hum Kaise Karen,
Dilse Hothon Tak Aaye Par,
Kahe Na Paayen Hum,Kahe Na Pao Tum…


Pehli baarish ka nasha hi kuchh alag hota hain,
Palko ko chhute hi sidha dil pe asar hota hain,
Mehka mehka saawan aaj iss dil ko behka raha hain,
Gumsum si nazro ko aaj ye pyar karna sikha raha hain …


Ae dost zindagi bhar mujhse dosti nibhaana,
dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana,
sath chalna mere tum dukh sukh mein
bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana…

Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khushboo bhi us phool ki jo mere paas ho,
Manjil na mil saki hame to koi baat nahi,
Gam bhi usi shakhs ka hota hai jise pyaar ka ehsaas ho.

No comments:

Post a Comment